Saturday, July 4, 2009

Us ne sukoot e shab meN Ahmed faraz

us ne sukoot-e-shab meN bhi apnaa payaam raKH diyaa
hijr ki raat baam par maah-e-tamaam raKH diyaa

aamad-e-dost ki naveed koo-e-vafaa meN 'aam thee
meN ne bhi ik charaagh saa dil sar-e-shaam raKH diyaa

us ne nazar nazar meN hi aise bhalay sukhan kahay
meN ne tO us ke paa^ON meN saaraa kalaam raKh diyaa

shiddat-e-tishnaGee meN bhee ghairat-e-maikashee rahee
us ne jo phair lee nazar , meN ne bhi jaam raKH diyaa

dekho ye mere khwab thay, dekho ye mere zakhm heN
meN ne tu sub hisaab e jaaN ber sar e aaam rakh diyaa

aur FARAZ chaahiye kitnee muhabbateN tujhe
maa^oN ne tere naam par bachchoN kaa naam raKH diyaa

No comments:

Post a Comment