ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa
Khaak-e-gulashan men jab aashiyaanaa huaa
zulf-e-baraham kii jab se shanaasaa_ii hu_ii
zindagii kaa chalan mujremaanaa huaa
phuul jalate rahe chaand ha.nsate rahaa
aarazuu kaa muqammal fasaanaa huaa
daaG dil ke shaha.nshaah ke sikke bane
dil kaa muflis-kadaa jab Khazaanaa huaa
rah_bar ne palaT kar na dekhaa kabhii
rahr-o-raaste kaa nishaanaa huaa
ham jahaan bhii gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap kaa aasataanaa huaa
dekh mizaraab se Khuun Tapakane lagaa
saaz kaa taar marG-e-taraanaa huaa
pahale hotii thii ko_ii vafaa-paravarii
ab to "SaaGar" ye qissaa puraanaa huaa
Tuesday, July 7, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment