Saturday, July 4, 2009

raat ke is pahar ghazal by sabeeh

meN ne dekha hay kaisa ye sapna naya raat ke is pahar
mujh se bichRa huwa koi apna mila raat ke is pahar

neend kyuN uRgayee chain kyuN khogaya raat ke is pahar
ye achanak mere saath kia hogaya raat ke is pahar

yuN laga mujhko jaisay fiza khushbuoN se mahakne lagee
phir kisee kee galee se chalee hay hawa raat ke is pahar

dil meN jagi hay kaisee tamanna nayee khud meN hairan hooN
ik nayee aarzoo ne mujhe choo liya raat ke is pahar

aik manzil basee thee nigahoN meN jane wo kia hogayee
aur mujh ko mila aik rasta naya raat ke is pahar

us kee bikhree huwi laT ne uljhaye rakha mujhe raat bhar
laakh chaha haTadooN na mumkin huwa raat ke is pahar

aur kia kijiay gaa sabeeh us kee ab aap manzar kashi
pal jo aya aur aker chala bhee gaya raat ke is pahar

No comments:

Post a Comment