Saturday, July 4, 2009

roshan hay abhee nazm by sabeeh

raushan hay abhi aik sitara ummeed kaa
phailay ga her taraf ye ujaala ummeed kaa

insaan ko insaan banaya tha khuda nay
bhaTkay huway insaan ko guzray thay zamanay
herkaat say,suknaat say, her baat say apni
haiwan sifat thay jinhaiN bheja tha khuda nay
us waqt bhee raushan tha sitara ummeed ka

Allah nay mehboob ko mab'oos phir kiya
Aur us nay is jahan ko maftooH kerliya
Dil jeet liay aa ke shah-e-her do sara nay
Kia khoob likhay ilm-o-mohabbat kay fasanay
Us waqt bbhee raushan tha sitara ummeed ka

Phir Sindh meN mazloom ki imdaad ki khaatir
Ik bint-e- musalman ki faryaad ki khaatir
Allah nay ik sher ko salaar banaaya
So,yay huway insan ki qismat ko jagaya
Us waqt bhee raushan tha sitara ummeed ka

Ger waqt hay khilaf tu kuch Gham nahi
hamaiNAllah ki imdaad ka hay aasra hamaiN
honToN phe hamaray hay yehi hurf duaa ka
her shub shub-e- baraat ho her din ho eid ka
roshan hay abhee aik sitara ummeed ka

No comments:

Post a Comment